Thursday, April 13, 2006

Aatma aur Moksha!!

bhigi ret si is zindgi par ..
saanp saa sarakta jaa raha tha main...
mitti par ubharti wo benaam lakiirein ...
kuch uljhi hui si aapas mein gunthii thi...
jinhein har baar dekhne par ek nayaa hi aakaar ban jaata tha ...
shaklein bahut ban rahi hongi shaayad ..
par bas kuch ko hi dekh paa raha tha main..
chalaa jaa raha tha main...
yeh kahaan jaa raha tha main...

kabhi kabhi paani ki koi leher..
kuch lakiiro ko mita bhi deti thi ..
kuch lakiiro ko bach jaane kaa gumaa hota..
to kuch ko mit jaane ki khushi...
par is banne bigadne ke khel mein ...
haar to sadaa meri hi thi...
phir bhi apni nishaani ko mitata..
bas chala jaa rha tha main...
yeh kahaan jaa raha tha main...

phir ek din gaur se jab maine dekha...
to kuch peeche ki lakiirein saamne se aati dikhiin..
wahi maile kuchaile raaste wahi uljhi hui shaklein..
un jaane pehchaane raaston pe aake bhatakne kaa andesaa hua mujhe..
manzil naa jaane kab ki kho gayi thi..
aur raaste baar baar wahin le jaa rahe the..
lekin in waakif raasto pe chalne mein ajab kaa sukoon tha..
inmein naa to khone kaa darr tha..

aur naa dhoondhne ki shiiddat..
aur tab se manzilon ko bhula bas..
chalaa jaa raha hoon main...
par ab yakeen hai mujhe ki..
kahaaan jaa raha hoon main...